Dosti Shayari with Photos
Nabj Meri Dekhi Aur Beemar Likh Diya
Rog Mera Usne Dosto Ka Pyar Likh Diya
Karjdaar Raheinge Umrabhar Uss Hakeem Ke
Jisne Dawa Mein Dosto Ka Saath Likh Diya..
Kanjoriya Mat Doondh Mujh Mein Tu Dost Mere
Ek Tu Bhi Shamil Hai Meri Kamjoriyo Mein
Kya Fark Hai Dosti Aur Mohabbat Mein
Rahte To Dono Dil Mein He Hai Lekin Fark To Hai
Barso Baad Milne Par Dosti Seene Se Laga Leti Hai
Aur Mohabbat Nazar Chura Leti Hai
Yaha Kaun Rota Hai Kisi Ke Liye
Sab Apni He Kisi Baat Par Rotey Hain
Iss Duniya Mein Milta Hai Saccha Saathi Mushkil Se
Baaki Sab To Matlab Ke Yaar Hote Hain..
Saath Agar Doge Muskhurayeinge Jaroor
Pyar Agar Dil Se Karoge To Nibhayeinge Jaroor
Raah Mein Kitne Kaatein Kyun Naa Ho
Aawaj Agar Dil Se Doge To Aayeinge Jaroor
Dosti Shayari for Girlfriend with Wallpapers
Dosti Ki Keemat Kabhi Ada Nahi Hoti
Acchi Dosti Kabhi Juda Nahi Hoti
Aap Ki Ada Par Mar Mitey Hain
Varna Yu Hee Hamari Dosti Kisi Par Fida Nahi Hoti…
Aapse Door Hokar Hum Jaayeinge Kahan
Aap Jaisa Dost Hum Paayeinge Kahan
Dil Ko Kaise Bhi Sambhal Leinge
Par Aakhon Ke Aansu Hum Chipayeinge Kahan
Hum Wo Nahi Jo Dil Tod Deinge
Thaam Kar Haath Saath Chod Deinge
Hum Dosti Karte Hain Paani Aur Machli Ki Tarah
Juda Karna Chahe Koi To Hum Dum Tod Deinge
Dosti Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai
Dosti Wo Bhi Nahi Jo Muskaan Deti Hai
Arey Sacchi Dosti To Wo Hai
Jo Paani Mein Gira Hua Aansu Bhi Pahchan Leti Hai
Har Pal Ki Dosti Ka Irada Hai Aapse
Apnapan Bhi Kuch Jyada Hai Aapse
Na Socheinge Sirf Umra Bhar Ke Liye
Kayamat Tak Dosti Nibhayeinge Ye Wada Hai Aapse..
Zikr Hua Jab Khuda Ki Rahmato Ka,
Hamne Khud Ko Khushnaseeb Paaya,
Tamanna Thi Ek Pyare Se Dost Ki,
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya
I love may Dost
Very good
Thank You…
I love you my friends
Dosti meri jaan h
so lovely shayri on friendship.plz keep it up I want see more and more shayri or friendship.
Superb Post bhai, Aapki har ek post Behetrin hoti hai. Thanks for sharing.
Thank you Bhai for appreciation…
प्यार का तो पता नहीं कि जिंदगी में ऐसा दोस्त होना चाहिए जो हर मुश्किल में साथ दें